
Our most loved dishes, freshly prepared for you
Bestseller
Bestseller
Bestseller
Satvik, pure and delicious options for vrat
Dal, sabzi, roti and rice together, just like home.
Order Thali
Something hot and crisp with your chai
Your first order in the app gets 10% off, automatically — no code to type.

Namaste! Main Arti hoon, ek grihini, aur khana banana mera sabse pyaara shauk hai. Bhookh Stop meri rasoi ka woh darwaza hai jo maine aap sab ke liye khol diya hai.
Yeh kaam maine paise kamane ke liye shuru nahi kiya. Mann karta hai ki din kisi achhe kaam mein lage, haath chalte rahein, aur zindagi mein thoda aur matlab judta rahe. Aur jab koi mera banaya khana khaakar kehta hai "bilkul ghar jaisa tha", to usse badi khushi mere liye koi nahi.
Aaj bahar khana har jagah mil jaata hai, par ghar wala swaad bahut kam milta hai. Wajah seedhi hai: zyada tar jagah yeh ek business hai, aur business mein pehle hisaab dekha jaata hai, swaad baad mein. Mera irada woh nahi hai.
Wahi masale, wahi taazi sabzi, wahi dhyaan aur wahi pyaar jo roz apne ghar ke khane mein daalti hoon. Har order aane ke baad banna shuru hota hai, isliye 30 minute pehle bataiye, taaki aapko garam aur taaza khana mile.
Ek baar khaa ke dekhiye. Agar ghar ki yaad na aaye, to zaroor bataiyega.
